A new take on Hindi Poetry!!!!

Ek aur din dhal gaya,
Bojhil aur Laachaar sa;
Stabdh Chandni ko Kohre ne
Chhanni sa dhank rakha hai..

Shayad Ous ki boond se bheega hoga,
Ye gaal geela maalum padta hai;
Aansoo to ab aate nahi,
In pathrayi aankhon me.

Zinda rahne ki chaahat hai,
Pata nahi kaise;
Safar ye kaisa hai, Chalna bhi
Roz hai aur jana kahin nahi.

Manzil kya hoti hai,
Jana nahi ab tak;
Bas bezar sa safar hai
Pagdandi ke raaste...

Dated: 16 January,2011

Comments

Popular posts from this blog

अपवित्र

दाँत का दर्द

अम्माँ - तबिष खैर