Search the web

Custom Search

Friday, July 30, 2010

Losing interest in Life

Is duniya me
Zinda kyun hai?
Aj hame batlaye koi..
Is duniya mein
insaan kyon hai
aaj hamein samjhaye koi.
kal tak teri
har baat pe hansta tha;
aj magar,
ye rona kyon hai..
aj magar rona kyon hai...

Jhoothe sapne,
kyun aate hain;
Jhoothe sapne
kyon aate hain;
Sach hamein
dikhlaye koi.
Sach hamein dikhlaye koi..
is duniya mein
zinda kyun hain
aj hamein samjhaye koi..

Kisson ki to
baat nai thi;
Na khwabon ka
afsana tha..
fir kyun bekas
in raaton me
bin baat ka
jagna kyon hai?
aj magar
rona kyon hai.
is duniya mein
zinda kyun hain
aj hamein samjhaye koi..

No comments:

Post a Comment