Tumse door chala aaya hun....

Tumse door chala aaya hun,
Par tujhe bhula na paya hun.

Is tarah se basi hai
Meri saanson me yun,
Gulshan ki bayar me
Mahke gulabon ki khushboo;
Apni saanson ko, chalne se
Na thaam paya hun.
Tumse door chala aaya hun
Magar tujhe bhula na paya hun.

Ban ke rahti hai tu
Lahu ka ik aisa katra,
Bin dard ke jaan se jo
Kabhi nai bichhra;
Lahu ka bahna bhi to
Apni ragon me, na rok paya hun.
Tumse door chala aaya hun,
Magar tujhe bhula na paya hun.

Dhadkan me basi hai
Ik teri sada,
Goonjti hai kanon me
Sirf teri wafa;
Teri bewafai ko ab tak
Kabool na paya hun;
Tumse door chala aaya hun.
Magar tujhe bhula na paya hun.

Tumse door yun chala to aaya hun,
Magar tujhe bhula na paya hun...

dated: 3rd september,2010

Comments

Popular posts from this blog

दाँत का दर्द

अम्माँ - तबिष खैर