कैसी ये तन्हाई
Kaisi ye tanhayi hai,
Nagin si parchhayi hai;
Poonam ki raat ko dhankti,
Kali badri si chhayi hai.
Hum to the ulfat ki timari me,
Jane kaisa junoon tha;
Sone ko na neend thi,
Jagne ko na sukoon tha.
Tera kusoor tha,
Ya mera kusoor tha;
Ya hum pe chhaya,
Koi maddham suroor tha.
Anchahe se khwab the,
Aur khwabon ka usool tha,
Khwabon me bhi yar hi mera:
Khuda; Mera rasool tha.
Aaj unhi khwabon ko dhoondhti,
Bejan si meri aankhein hain;
Aankhon me aansoo hain,
Ya aansuon me doobi aankhein hain.
Khoye khoye se din hain,
Aur tanha si raatein hain;
Yaadon ke jungle me,
Khoyi sari baatein hain..
dated 24 November,2009
Comments
Post a Comment